Tuesday, December 25, 2012

O mere yaar


Apke dil ke shehar mein,
Koshish karoon mein apni ek jhalak paane ki,
Har koshish mein paun khohrah itna gehra, ki na samaj paun,
Apka dil chahtah kya hai.

Kabhi sochu kash yea dooriya kuch kam hoti toh samaj patah apko behtar,
Lekin phir ehsas hota ki,
Yea darmiya, dooriyon se nahi kam hongi, yea kuch aur hai.

Phir dil ne kaha, chad mere yaar, koshish na kar samjne ki,
Tu na samaj paaye iss hasina ko ,
Bas, itna samaj le, hona tha pyar,

O mere yaar
O mere yaar.



Thursday, December 13, 2012

Boondh boondh yea paani


Aesa lagtah hai jaise iss rooh mein beh rahi ho ek nayi jeevan nadhi
Aesa lagtah hai ki badal bol rahein ho, mein baras raha hoon tere chehre ki iss muskan ke liye
Aesa lagtah hai ki maano havayea khel rahi ho inn pedoh ki tehniyo se
Aesa lagtah hai ki mein kissi jannat mein hoon sabhi apsaroan ke saat
Kash boondh boondh yea paani mil jaati mere raqt mein, bankeh ek jeevan nadhi, amrit ki tarha

Boondh boondh yea panni
behti rahe sadah
behti rahe sadah

Inspiration : The splendid rain in Delhi

Wednesday, December 12, 2012

Muqaddar Ka Sikander



Mod aaye aneik ,kabhi lagah yeah hai mera muqaddar , toh kabhi voh.
Har mod pe tha kuch naaya seekhne ko.
Lekin koi mod na batah paya mujhe, ki mera muqaddar aakhir hai kya.
Kabhi lagah ki mein apni manzil se hoon kuch pal door, lekin kuch hi palo mein manzil ho gayi lakho kadam door.
Dil mein hai aag kuch kar dikhane ki, manzil nahi hai pass lekin aag na bhujti hai na banti shola.
Manjil hai inn ankhon mein, bus uss pal ka hai intezaar
Jab haqiqat banayegi

ek muqaddar ka sikandar
ek muqaddar ka sikandar

Nature - Rishikesh



Khule aasma ke niche Inn sitaro ki bahon mein,
Inn betab lehro ki madhoshio mein,
Kuch parindey jo behna chahateh hai inn havoan mein ,
Jo pohnchnaa chahateh hai iss gagan ki unchayiyo mein,
dhoonde chaleh apni rah inn

lehro ki madhoshi mein
lehro ki madhoshi mein ...

Inspiration : The serene beauty of Rishikesh

Million Dollar Smile



Hindi
-----

Hassi jo kare dilo ko madhosh
Hassi jo kare chandh ko bhi sharmindah
Hassi jo lehro ko bhi de jukha
Hassi jo jagmagaye sitaro se badkar
Hassi jo thamadhe vaqt ko bhi
Hassi jo thamhe tho

rukh jaaye yea samah ..
rukh jaaye yea samah ..

English ( Loose Translation )
-------
Smile that makes your heart go mad
Smile that makes even moon to shy away
Smile that makes waves to bow down
Smile that shines brighter than the stars
Smile that freezes time
Smile, If stops

Stops the universe
Stops the universe  

Inspiration : A beautiful smile