Saturday, August 31, 2013

Darmiyaan



Doonda tujhe har jagah , har pal,
Hazaroh chehroh ke beech,
Par na janoo kyon, mila na koi tuj jeysa.
Kash na milta tujse,
toh na hoti yeah tanhayiyaan,
aur yeah darmiyan, aur na churah pathi tu mujhe mujse.
Phir sochu, na milta toh, kuch reh jaatah adoorah jindagi mein,
Aur kehta reha
Dil samal ja jarah
Dil samal ja jarah

Live the Moment



Khwabo mein the kuch naye rang
Shabd na kahe, na suneh
Phir bhi huyi bateh ankoh se
Dono ki manjil thi alag ,lekin lagah ki rasteh mil hai rahe
Din aur rateh lagne lagi haseen
Mann mein huyi lakho hulchale
Beeteh kuch lamhe itne haseen ki
Beeteh dino ki yaadein huyi kuch dundhali aur lagneh lagah ki hum reh jaaye
sirf aaj ke liye
sirf aaj ke liye

Sunday, January 6, 2013

Ek Suruli Awaaz


Naye varsh ke intezaar mein,
Raat ki madhoshi mein,
Khohreh ki chauve mein,
Nashe ki bandish mein,
Dilo mein tha ek josh,
Dunnoh mein tha ek tej,
Phir ek suruli awaaz ne kiya aesa jadoo ki,
Madhoshiya bani khamoshiya,
Khohreh mein thi garmahat,
Aur nashe ne thodi apni bandhishe,
Aur rahi sirf

Ek suruli awaaz ki madhoshi,
Ek suruli awaaz ki madhoshi.